Khilariyon ki terbiyat k lia marshal art robot
Khilariyon ki terbiyat k lia marshal art robot, boxing aur marshal art ke khilari tarbiyat ke douran bhosay bharay bag ko mukkay maartay rehtay hain lekin ab aik tarbiati robot palat kar un par waar bhi karsaktha hai .
is robot ko marshal art ke mashhoor khilari brint ne tayyar kya hai. aik khilari ke sath mashq karte hue un ki kalayi par shadeed chout aayi jis ke baad unhon ne warzishi tarbiyat karanay walay robot par kaam shuru kardiya aur tarbiyat mein madad fraham karne wala qad aadam aala banaya hai .
saarhay chaar inch ki touch screen ki badolat teen mukhtalif tarbiati andaaz ( training mood ) ka intikhab kya ja sakta hai. isi terhan shiddat ke teen darjay bhi ikhtiyar kiye jasaktay hain. is douran screen par har round, mukkon ki barish aur deegar karkardagi dekhi ja sakti hai. screen ka nizaam aaraam aur waqfay ko bhi mid nazar rakhta hai .
fi al haal RXT one ko kick starter muhim ka hissa banaya gaya hai. taham is ki qeemat 699 dollar se shuru horahee hai .