khawando ke chehray mukhtalif kyun hotay hain ?
khawando ke chehray mukhtalif kyun hotay hain ?mera dost’ ‘ f’ ‘ kehta hai agar koi mujh se poochay ke is duniya ka sab se pehla mohazab janwar kon sa hai to mein kahoon ga’ ‘ khawand.’ ‘
mein ne poocha’ ‘ dosra mohazab janwar ?’ ‘
jawab mila’ ‘ dosra khawand.’ ‘
khawand ko urdu mein aurat ka majazi kkhuda aur punjabi mein aurat ka bandah kehte hain. jab ke ghar mein usay kuch nahi kehte. jo kuch kehta hai wohi kehta hai .
saaray khawand aik jaisay hotay hain. sirf un ke chehray mukhtalif hotay hain taakay har kisi ko apna apna khawand pehchanney mein aasani ho .
har khawand yahi kehta hai ke mujh jaisa dosra khawand poori duniya mein nahi miley ga aur aurat isi umeed par doosri shadi karti hai, magar usay har jagah koi dosra nahi milta, khawand hi milta hai .