khatarnaak magar mach ne khatoon ko pakar kar maar dala
kewah jazeeray mein aik khatoon ki laash mili hai jisay khatarnaak magar mach naay hamla karkay halaak kar diya tha, Aini shahideen ka kehna hai ke halaak honay wali khatoon naay is ko chone ki koshish ki thi .
tafseelaat ke mutabiq janoobi kirolayna ke kewah jazeeray mein guzashta roz aik khatoon ko magar mach naay is waqt hamla kar ke jaan se maar dala jab woh usay chone ki koshish kar rahi thi .
waqeye ke aik Aini Shahid naay tafteesh karon ko bataya ke 58 sala santhiya court –apne aik kaam ke silsilay mein yahan aayi thi, santhiya court sahih terhan kaam nahi krpa rahi thi woh mamool se ziyada baat karne wali aur Aram da khatoon theen .
Aini Shahid ka kehna tha ke woh is ki rahaish gaah aaya tha lekin sirf wohi cheez thi jo is naay dekhi thi, santhiya court naay magar mach ko dekha aur qareeb se dekhnay ke liye neechay talaab mein chali gayi .
is mauqa par magar mach naay usay achanak taang se pakar liya aur usay pani mein ghsita, hum logon naay bailcha pheink kar usay roknay ki koshish karne ke ilawa court ko aik rassi pheink kar is ko kinare ki taraf khenchnay ki koshish ki lekin bad qismati se koshish nakaam hui .
baad azan jab rescue ehalkaron naay santhiya court ke jism ko pani se nikala to dekha ke is ki taang ko magar mach naay buri terhan kaat kar zakhmi kardiya tha, charlston county kroner naay santhiya ki mout ki wajah doobnay se zahir ki hai .
rescue idaray ke tarjuman ka kehna hai ke is ilaqay ki khusoosi tor par nigrani ki jarahi hai taakay aisay mazeed waqeat ki rokkk thaam ki ja sakay .