kharab mood ko chand lumhon mein Khushgawar bana dainay wala aaasaaan sa nuskha
kharab mood ko chand lumhon mein Khushgawar bana dainay wala aaasaaan sa nuskha, aaj kal ki corona zada sorat e haal aur tamam tafrehi o takhleeqi sargarmia moattal hojane se zehni tanao, depration aur mood kharabi aam si baat hai, taham kharab mood ko aik nihayat aaasaaan se nuskhay se behtar banaya ja sakta hai .
mahireen ke mutabiq agar aap zehni tanao se mustaqil bunyadon par nijaat chahtay hain, aur khush baash rehna chahtay hain to chocolate ko apni roz marrah ki khoraak ka hissa banalen .
aur sirf yahi nahi, kharab mood ko fori tor par behtar bananay ke liye bhi chocolate nihayat akseer hai .
yeh tahaqeeq California ki loma lnda university mein ki gayi jis ke mutabiq chocolate
mein payi jan_e_ wali cocco dimagh ko pursukoon kar ke is mein khushy ki laharen peda karti hai .
mahireen ke mutabiq yeh kaam chocolate mein mojood flewnides karte hain. chocolate ke yeh fawaid hum kisi aam si chocolate baar se bhi haasil kar saktay hain .
is se qabal bhi scienci o tibbi mahireen ki janib se paish ki jan_e_ wali tehqiqaat se saabit hochuka hai ke chocolate khana dimaghi o jismani sahet ke liye be hadd faida mand hai .
tahaqeeq mein dekha gaya ke jo afraad chocolate ziyada khatay hain un mein zehni tanao ki sharah deegar afraad ke muqablay mein kam hoti hai jabkay woh dosaron ke muqablay main ziada khushbhaash hutay hain.