Kharab masoron aur amraz e qalab diabetes k dermian taluq
Kharab masoron aur amraz e qalab diabetes k dermian taluq, kharab masorhay kayi terhan ki bimarion ko janam dete hain. ab aik mutalay se maloom hwa hai ke intehai kharab masorhay diabities, amrazِ qalb, hatta ke alzaimer ki wajah bhi ban satke hain. masoorho ki kharabi amniyati nizaam ko mutasir karti hai aur poooray jism ke khaliyaat mein soozish ki wajah banti hai .
ya masoorho ka marz mun ki kharab sehat ko zahir karta hai. is se blood pressure main izafah bhi dekha gaya hai alzaimer ke mareezon mein bhi yeh kefiyat dekhi gayi hai. ab university of Toronto ke science danon ne is ki aik mumkina wajah dhoondli hai .
is ke liye amniyati khaliyaat ki pehli saf ke intehai ahem khaliyaat neutroflis ko dekha gaya jo kisi chout, takleef ya infection ki soorat mein zahir hotay hain. choohon ke masorhay mutasir karne ke baad un mein neutroflis ki tadaad barh gayi. maiday, anton aur khoon mein bhi inhen dekha gaya. yani masoorho ki wajah se yeh khaliyaat poooray jism mein japuhnche .
is se jism mein sytokines ka ikhraj shuru hogaya jo diabities, dil ke amraaz aur deegar kayi amraaz ki wajah bantay hain. is ke baad mutadid razakaar bharti kiye gaye jinhon ne teen hafton tak brush nahi kya tha. aakhir kaar bohat se logon ko masoorho ki soozish la-haq hogayi. un mein bhi neutroflis barhay aur dil, sugar aur deegar amraaz ke bio marker bherne lagey .