Home Health khana khanay ke baad pait phoolnay aur gas ki shikayat ko

khana khanay ke baad pait phoolnay aur gas ki shikayat ko

372
0
khana khanay ke baad

khana khanay ke baad pait phoolnay aur gas ki shikayat ko kaisay kam kya jaye ?

khana khanay ke baad pait phoolnay aur gas ki shikayat ko kaisay kam kya jaye ?khana khanay ke baad aksar auqaat pait phoolnay ki takleef aur gas ka saamna hota hai, is ki mutadid wajohaat hosakti hain jaisay pehlay se koi bemari bhi kabhi kabhar pait phoolnay ka baais ban jati hai .

hosla afzaa baat yeh hai ke ghizai aadaat mein kuch tabdeelion se is maslay ki rokkk thaam ki ja sakti hai .

sab se pehlay yeh janna zaroori hai ke kon si gazayn is takleef ka sabab banti hain. carbohydrates , chiknai aur proteins pait phoolnay ka baais ban satke hain, taham kuch gazayn is maslay ko ziyada bad tareen bana deti hain, aisi aam ghzaon mein saib, beej, gobhi, doodh ki masnoaat, aadu aur nashpati qabil zikar hain .

un ghzaon ka kam istemaal is takleef mein kami ka sabab ban sakta hai .

ghiza mein fibre ki miqdaar par nazar rakhen, fibre wali gazayn jaisay ijnaas, beej aur dalain pait phoolnay aur gas ka baais ban sakti hain, waisay to yeh gazayn sehat ke liye mufeed hoti hain taham kuch afraad ko ziyada fibre pait phoolnay ke maslay ka shikaar bana sakta hai .

fibre sehat bakhash ghiza ka ahem hissa hai, magar batadreej ghiza mein is ki miqdaar brhhani chahiye .

ghiza mein ziyada namak taweel ulmeaad bunyadon par mutadid amraaz Bashmole high blood pressure ka shikaar bnaskta hai, ziyada namak ka istemaal jo bohat mukhtasir arsay mein samnay ajata hai pait phoolna hai .

charbi wali ghzaon se bhi guraiz karen, bohat ziyada charbi wali ghzaon ko hazem karne ke liye jism ko ziyada waqt lagta hai aur yeh ghizai naali se sust rawi se guzarti hain, jis ke nateejay mein pait phool sakta hai .

meethay mashrobat ki miqdaar kam karen, soft drinks jaisay carbonated water aur sodda bhi pait phoolnay ki barri wajohaat mein se aik hain, kyunkay un mashrobat ko peenay se jism mein carbon dioxide gas jama honay lagti hai, jo pait phoolnay ka baais banti hai .