Home People khana bananay ka tarbiyat se kya talluq? sanam jung ka Sarif ko

khana bananay ka tarbiyat se kya talluq? sanam jung ka Sarif ko

243
0
khana bananay ka tarbiyat

khana bananay ka tarbiyat se kya talluq? sanam jung ka Sarif ko karara jawab

khana bananay ka tarbiyat se kya talluq? sanam jung ka Sarif ko karara jawab, adakara sanam jung ney khud par tanqeed karne sarfeen ko karara jawab dete hue kaha ke kya tarbiyat sirf khana bananay par hi khatam hojati hai ?

Maroof adakara aur morning show ki maizban sanam jung ko is waqt social media par tanqeed ka saamna karna para jab unhon ney kitcehn mein apni walida ke sath sawaiyan bananay ki video social media par share ki .

video mein dekha ja sakta hai ke adakara sawaiyan bananay mein apni walida ki madad kar rahi hai aur is douran woh cheeze bhi girati jarahi hai, unhon naay apni video mein bataya ke inhen khana banana bilkul nahi aata. jis par social media sarfeen naay sanam jung ko hadaf tanqeed bnalya .

aik Sarif naay kaha ke’ shadi shuda honay ke bawajood aap koi kaam dhang se nahi kar sakti, aap intahi kaam chor larki hain, aap ki walida naay sirf job karna sikhaya hai ghar daari bilkul nahi sikhayi jo bohat ahem hai, Qadeer Nami Sarif ka kehna tha ke walida naay aap ki tarbiyat achi nahi ki’ .

social media Sarif naay kaha ke’ aap khud aik waqt ka khana nahi bnaskti to apni beti ko kya tarbiyat den gi ‘. sanam jung naay Sarif ki tanqeed par mun toar jawab dete hue kaha ke’ kya saari tarbiyat khana bananay par khatam hojati hai ?

adakara ka kehna tha ke’ mein apni beti ko khana banana kyun sikhaun? tarbiyat ka khana bananay kya talluq hai? larkiyon ko is ke ilawa bhi deegar kamon par dheyaan dena chahiye .