Home Technology Khabardar mareekh zameen say qareeb aa gya

Khabardar mareekh zameen say qareeb aa gya

398
0
Khabardar mareekh

Khabardar mareekh zameen say qareeb aa gya

Khabardar mareekh zameen say qareeb aa gya , science danon ka kehna hai ke surkh sayarah mareekh is waqt zameen se qareeb agaya hai aur poooray haftay yeh zameen se qareeb hi rahay ga. un saat dinon mein mareekh ka zameen se faasla taqreeban 6 crore 21 laakh kilometer ( 62. 1 million kilometer ) rahay ga .

mahireen ka yeh bhi kehna hai ke aisa hi aik aur mauqa aaj se pandrah saal baad yani 2035 mein doosri baar aaye ga .

wazeh rahay ke zameen aur mareekh mein qurbat ka matlab har gaz yeh nahi ke mareekh is waqt zameen se kam tareen faaslay par hai, balkay is ka matlab yeh hai ke mareekh aur zameen ke darmiyan ost se khasa kam faasla aik do din ya chand ghantay nahi balkay poooray aik haftay tak barqarar rahay ga jo aik bohat hi nayaab mauqa hai aur kabhi kabhar hi aata hai .
mareekh ki harkat ulat jaye gi qayamat anay wali hai !

agar aap bhi falkiat, yani sitaron, sayyaron aur kahkashaon waghera ka shoq rakhtay hain to yeh poora hafta aap mareekh par bah aasani nazar rakh saken ge ؛ aur agar aap ke paas doorbeen bhi hai to kya kehnay .

aasman mein mareekh ki position aur zameen ke faaslay se lamha bah lamha waaqif rehne ke liye’ ‘ the live sky’ ‘ ki Website par’ ‘ marse tracker’ ‘ aap hi ke liye hai .

mazeed batatay chalein ke mareekh aur zameen ke darmiyan ka ost faasla 6 crore 33 laakh kilometer hai jabkay un dono sayyaron mein kam se kam faasla 5 crore 46 laakh kilometer tak ho sakta hai. mareekh aur zameen mein ziyada se ziyada faasla bohat 40 crore 10 laakh kilometer tak pahonch sakta hai .