Home Pakistan Karachi mein larki ke qatal mein mulawis samait 10 mulzimaan girftar

Karachi mein larki ke qatal mein mulawis samait 10 mulzimaan girftar

1124
0
larki ke qatal

Clifton mein douran daketi larki ke qatal karnaywala 4 mulzimaan sameit mukhtalif juraim mein mulawis 10 mulzimaan ko girftar kar liya gaya .

SSP south Ameer mgsi ke mutabiq police karwai karte hue  qatal karne walay 4 mulzimaan Mohammad Zubair , wasim balouch urf boxer, Mohammad arshd arf lemoo pani aur Shoiab urf manu ko girftar kar liya .

ye SSP south ka kehna hai ke mulzimaan ne 13 July 2019 ko daketi muzahmat par larki ko qatal kya tha aur waardaat ka muqadma namaloom mulzimaan ke khilaaf darj kya gaya tha .

doosri janib yes IU na mukhtalif ilaqon mein karwaiya ke douran 6 mulzimaan ko girftar kar ke un qabzay se ghair qanooni asleha, motorcyclen, chars, ice manshiat o dager masrooqa samaan bar aamad kar liya ,

SSP Urfan bahadur ke mutabiq karwaiya brigid, new Karachi , shara Faisal mein ki gayeen, mulzimaan kay khilaaf mukhtalif thanon mein muqadmaat bhi darj hain jab ke mulzimaan dehsatgardi, daketi, iqdaam qatal sameit dager juraim mein bhi mulawis hain .