Kamiyab bnnay k lia ya 5 kaam her giz na kijeay
Kamiyab bnnay k lia ya 5 kaam her giz na kijeay , mojooda daur, is ki mushkilaat aur phir kamyabi ka tasawwur yaqeenan aik thaka dainay wali sargarmi hai, lekin un sab ki bawajood kamyaab kon nahi hona chahta? taham hum mein se bohat se log zindagi ke safar mein musalsal kaam karte hue bhi kabhi kamyaab nahi hopate. jis ki bunyadi wajah to yeh hoti hai ke hum do terhan ki ant_haon ke beech muallaq rehtay hain. yani ya to hum apni khoshi ke liye itnay khudgharz ho jatay hain ke dosaron ke khowaboon ko peeron taley roond dete hain aur kabhi itnay darya dil ho jatay hain ke dosaron ki khoshi hi hamaray liye awliyat ikhtiyar krliti hai aur is safar mein hum khud ko kho dete hain .
dosaron ko khush rakhnay ya karne ka formula kabhi bhi aap ko kamyaab ensaan nahi bnaskta. kyunkay ensaan kabhi khush nahi reh sakta. kabhi aap aik ko khush rakhen ge kabhi dosray ko, to logon ki tawaquaat barhti jayen gi, jin ke poora nah honay par aap ko bura bhala kaha ja sakta hai aur un afraad ke sath aap ke taluqaat hadd darjaa kharab ho saktay hain jo kabhi sirf aap ke gun hi gatay they . lehaza dosaron ke sath rawayya zaroor achchca rakhiye lekin khush hamesha is ko rakhen
jis ko aap khush rakh satke hain aur woh shakhs hai jisay aap rozana aienay mein dekhte hain, yani ke aap khud. ab agar hum sirf isi par baat karen ke kamyaab log aisi kon si paanch baton se ijtinab karte hain. to yeh baatein kehnay mein to bohat aasaan hain lekin amli tor par namumkin nahi to mushkil zaroor hain .
behar haal hum roz marrah zindagi mein aisay kayi kamyaab afraad ko dekhte hain jin ke jaissa ban-na hamari khwahish ban’nay lagti hai aur agar aap ki bhi aisi tamanna hai to aap ko chahiye ke yeh paanch aadaat agar Aap mein hain to unhein fi alfoor tark kar dein
agar aap naay kisi bhi rishte daar, dost ya Aziz o Iqareb ka thaika ya zimma liya sun-hwa hai to is se foran baz aajaiye. yani aap kisi ko kahin ke yeh kaam kyun nahi kya? aisa nahi hona chahiye tha. lao tumhare hissay ka kaam mein hi hamesha kardoon. to yeh aglay shakhs ke sath koi hamdardi nahi. is liye ke mauqa parast log aap se kaam bhi nikalwa len ge aur aap ke ahsaan mand bhi nah hon ge. isi terhan jo aap ki hamdardi ke haq daar hon ge woh har mushkil ke hal ke liye aap ki taraf dekhen ge jo aap ko bhi uljan mein mubtala kardey ga aur phir aap bhi kofat ka shikaar hokar uffsurdaha ho jaien ge .
kamyaab afraad ke social media accounts awwal to hon ge nahi aur agar hon ge to tatilat ke dinon mein woh mobile phones aur social media par kabhi jawab dete dikhayi nahi den ge. is liye ke woh khud ko kaam mein ghark nahi karte balkay yeh jantay hain ke un ke khandan ki ahmiyat kya hai aur woh har rishte mein tawazun rakhna jantay hain .
rishte mein tawazun wali baat se yaad aaya ke kamyaab afraad kabhi bhi bohat ziyada jazbati hokar nahi sochte, dost ahbaab se tawaquaat wabsta nahi karte, balkay kisi ne koi madad kar di to theek warna koi baat nahi. woh rishton ko bandh kar nahi balkay joor kar rakhtay hain aur un dono mein bohat farq hai. koi bhi talluq ho woh logon ko aik gunjaish dete hain ke koi un se talluq rakhay ya unhein chore day. mamooli mamooli baton par jhagarte nahi aur haan sara din yeh kabhi nahi sochate ke falan mujhe kya keh gaya aur kyun keh gaya. balkay yeh sochate hain ke falan ki soch hi aisi thi jis ka zimma unhon nay nahi liya sun-hwa .
insani zindagi bohat paicheeda hai aur is ki soch lamha bah lamha tagayur ki taraf mael. aisi soorat mein hamein bohat se kirdaar ada karne hain, biwi, shohar , maa, aulaad, job worker ya malkaan. yeh kirdaar to laazmi hain lekin agar un krdaron ko aap bahrup banalen tab mushkil hojaye gi. yani agar aap –apne matlab ke liye banawat ikhtiyar karlen aur khud ko waisa zahir karen jaisa ke dosray chahtay hain to aap apni shakhsiyat ko maskh kar dein ge aur yeh koi kamyabi ki baat nahi .
ab reh gayi sab se aakhri aur ahem baat. kamyaab log kabhi nah to maazi mein jeetay hain nah hi mustaqbil mein rehtay hain. kyunkay woh yeh jantay hain ke un dono zamanoon par un ka koi ikhtiyar nahi. so agar aap bhi kamyabi ki Manazil tay karna chahtay hain