Junk food nojawano ki nend uranay ka sabab bn rha hai
Junk food nojawano ki nend uranay ka sabab bn rha hai, kasrat se junk food khanay walay nojawanon ki neend buri terhan mutasir hosakti hai .
tibbi khabron ki Website ke mutabiq university of mein ki gayi aik tehqeeq mein yeh baat samnay aayi hai ke junk food ki kasrat baaligh afraad mein neend ke hawalay se payi jane wali kayi shikayaat ke asbaab mein shaamil hai .
university ke associate professor Asad Khan ka kehna hai ke ghair sehat mandana ghizai aadaat aur zehni tanao ke baais neend mein khlal ke mabain talluq maloom karne ke liye aalmi satah par honay wali yeh pehli tehqeeq hai jis mein 64 mumalik ke high school ke tlba shareek hue .
tehqeeq mein dekha gaya ke jo nojawan afraad soft drinks ka istemaal bohat ziyada karte hain un mein be khwabi se mutaliqa masail ki sharah bhi ziyada hoti hai. yomiya teen soft drinks peenay walay nojawanon mein neend mein be sukooni ki 55 fi sad zayed shikayaat payi gayeen .
isi terhan aisay mard jo haftay mein chaar din se zayed fast food khatay hain un mein neend ke douran be sukooni aur khlal ki shikayat honay ki sharah haftay mein aik din fast food khanay walon ke muqablay mein 55 feesad zayed hoti hai .
dr Asad Khan ka kehna hai ke kam amdan walay mumalik ke nojawano ya teen agers mein neend se mutaliq shikayaat ka talluq junk food ke istemaal se mutaliq hai. is mein haftay ke saat mein paanch din fast food khanay walay nojawanon mein be khwabi waghera jaisi shikayaat aam hain. isi terhan zayed amdan walay mumalik mein junk food baais neend se mutaliqa shikayaat ki sharah aur bhi ziyada hai .
Junk food nojawano ki nend uranay ka sabab bn rha hai, un ka kehna hai ke neend mein be sukooni ke baais baloghat ki Umar mein dimaghi slahtin mutasir hoti hain. is liye ghair sehat mandana aadaat par qaboo panay ke liye tarjeehi bunyadon par policy saazi aur mansoobah bandi ki zaroorat hai .