Hazaron damagi khuliyat ko record kernay wali chip tyar
Hazaron damagi khuliyat ko record kernay wali chip tyar , musalsal 15 baras ki un thak mehnat ke baad swtizerland ke science danon ne aik aisi chup banai hai jo nihayat umdagi aur wazahat ke sath hazaron dimaghi khaliyaat ( neurons ) ko record kar sakti hai .
ETH Nami idaray ke dr andreas aur un ke sathiyon ne tajurbah gaah mein aasabi khaliyaat ki barqi sargarmi ko note kya hai. is terhan se kisi tafteeshi dish ke neechay chup rakh kar infiradi tor par khaliyaat ki sargarmi ko note kya ja sakta hai .
khurd beeni barqeero ( electrode ) ki yeh qitaar aik chup par samoey gayi hai. yeh chup pehlay se tyar shuda nizaam ke muqablay mein ziada electrode rakhti hai aur bohat tafseeli data record karti hai. is terhan chup ko kayi ahem kamon mein bhi istemaal kya ja sakta hai .
chup ke chaar mili meter lambay aur do mili meter choray raqbay par 20 hazaar ke qareeb khurd beeni electrode lagaye gaye hain. isi bana par yeh aasabi khuliya se kondanay wala bareek tareen jhama kah bhi mehsoos kar lete hain. lekin un sgnlon ko barhana zaroori hota hai .
doosri ahem baat yeh hai ke electrod ki barri tadaad bohat achi terhan kaam karti hai aur lag bhag bohat saaray asaab ki barqi sargarmi ko note karti rehti hai. taham fitri tor par is mein barqi shore ya novire bhi shaamil hosakti hai. lekin is chup mein duniya ke taaqatwar aur behtareen aympli fire istemaal kiye gaye hain jo har asaab ki mamooli sargarmi ko bhi note kar lete hain. is terhan poooray nizaam ki bohat saaf aur wazeh tafseel samnay aati hai .
nature communication mein shaya honay wali is report ke mutabiq chup dil ke khaliyaat, aankhon ke retina aur dimagh ke bohat se gooshon ki barqi sargarmi ko record kar sakti hai. baaz maqamat par yeh aik waqt mein 1000 se zayed khaliyaat ki sargarmi record karti hai .
tawaqqa hai ke is se adwiyah ke tajarbaat aur nai dawaon ki tayari mein bhi madad miley gi. yani chand hazaar dimaghi khaliyaat par dawa daal kar is ka jaiza liya jasakay ga .