Haldi say ghatiya ka dard b khtm ho skta, tahqeeq
Haldi say ghatiya ka dard b khtm ho skta, tahqeeq, Australia mein 70 afraad par ki gayi aik tehqeeq se maloom hwa hai ke haldi ke istemaal se gathia ke baais joron mein honay wala dard bhi kam hojata hai. yeh tamam afraad gathia ki wajah se ghutnon ke dard mein mubtala thay. tehqeeq ke douran maloom hwa ke haldi se gathia ke mareezon ko dard kam karne wali murawaja dawaon ke muqablay mein bhi ziyada faida pohanchana hai .
university of Tasmania , Australia mein is tehqeeq ke nigaran, dr beeni anthoni ne un nataij ko ahem lekin tawaquaat ke mutabiq qarar dete hue kaha hai ke gathia ka dard kam karne mein haldi ko aazmaaya ja sakta hai kyunkay yeh bawarchi khanaay mein aam istemaal hoti hai .
wazeh rahay ke haldi ko sadiiyon se jism ki androoni takaleef aur infactions khatam karne ke liye doodh mein mila kar aam istemaal kya ja raha hai jabkay yeh aksar riwayati mashriqi khaano ka juzoo lazim bhi hai .
tehqeeq ke douran 70 mein se 36 mareezon ko haldi ke garhay arq ( estract) se bharay hue do capsule rozana khilaye gaye jabkay baqi 34 mareezon ko waisay hi nazar anay walay do kipsol rozana diye gaye magar un mein haldi ke arq ki jagah koi aur be zarrar cheez bhari gayi thi. yeh mutalea 12 hafton tak jari raha .
jin mareezon ne haldi ke’ ‘ asli arq’ ‘ walay capsule khaye thay, un ke ghutnon mein gathia se honay wala dard numaya tor par kam hogaya tha jabkay dosray group se talluq rakhnay walay mareezon mein ghutnon ke dard ki haalat jon ki ton rahi .