Home Point of View Guriya say khailnay say bachiyon mai hamdardi ka jazba baidar huta hai

Guriya say khailnay say bachiyon mai hamdardi ka jazba baidar huta hai

313
0
Guriya say khailnay say

Guriya say khailnay say bachiyon mai hamdardi ka jazba baidar huta hai

Guriya say khailnay say bachiyon mai hamdardi ka jazba baidar huta hai, mahireen ne aik taweel surway ke baad kaha hai ke guria se khailnay ka amal bachiyon mein hamdardi aur reham ka jazba bedaar karta hai .

guria aur gadday ka khail dimagh ke un hisson ko sargaram karta hai jahan hamdardi aur dosron ka khayaal rakhnay jaisay samaji ravayye parwan charhtay hain. agarchay larkiyan apni dhun mein khelti rehti hain lekin woh guria ko pyar karti hain, usay khilaati hain aur is ka khayaal rakhti hain aur yeh rawayya apni jarr mazboot karta jata hai .

is tanazur mein yeh zaroori hai ke apni bachiyon ko mobile thamanay ki bajaye inhen grhyon ka tohfa zaroor paish karen. taham yeh surway barbie guria bananay wali company ne kya hai. is zimn mein duniya ke 22 mumalik ke 15000 walidain se sawalaat kiye gaye aur 91 feesad walidain –apne bachon mein rehamdili ka jazba bedaar karna chahtay thay taham sirf 26 feesad walidain jantay thay ke guria khailnay se bachiyon mein yeh jazba bedaar ho sakta hai .
kardif university ke mutabiq pehli martaba bachon par guria ke khail ke asraat note kiye gaye hain. is muamlay par daidh saal tak kardif university ki dr sarah geersun aur un ki sathiyon ne lag bhag 33 aisi bachiyon ke dimagh scan kiye jin ki umrein 4 taa 8 baras thi .

tehqeeqi team ne dekha ke jab bachiyan akailey hi guria se khail rahi thi to is waqt aur is ke baad bhi kaafi der tak dimagh ka aik hissa sargaram raha. dimagh mein yeh ilaqa  ( PSTS) kehlata hai. yahan samaji maloomat aur insani hamdardi jaisay jazbaat bedaar hotay hain .

dr sarah kehti hain ke jab hum deegar afraad ke baray mein sochte hain aur un ki khirkhwahi ki yaad aati hai to yahi Dimagh gosha bedaar hota hai. guria jab choti bachiyon ke samnay hoti hai to woh usay apnati hain aur yeh jazba parwan charhata rehta hai. dosray game khailnay se aisa qatee nahi hota .

‘ hum yeh keh satke hain ke bachiyan aik terhan se haqeeqi duniya ki rehearsal karti hain jahan woh aik dosray ka khayaal rakhti hain. hum ne chay braazmon ki bachiyon mein ain yahi Jazba bedaar hotay dekha hai,’ dr sarah ne bataya .

mahireen ke mutabiq guria se khelti hui bachiyon ko khushi aur musarrat bhi millti hai .