Guftgo ko asharon ki zuban wali video mai tabdeel krnay wala software tyar
Guftgo ko asharon ki zuban wali video mai tabdeel krnay wala software tyar, ab samaat se mahroom afraad ke liye aik nai ikhtira banai gayi hai jo bolay jane walay alfaaz ko aik video model ya digital otaar se zahir kardeti hai. is terhan bohat muaser andaaz mein samaat aur Basarat se mahroom un afraad tak apni baat pohanchai ja sakti hai .
Bartania mein masnoi zahanat ( artificial intelli jins ) ya ae aayi se wabasta company ne yeh software banaya hai jo neoral net work ki tarz par kaam karta hai aur djitl kirdaar takhleeq karta hai. jaisay hi koi guftagu karta hai yeh sign language ( ishaaron ki zabaan ) ada karne walay djitl otaar se video ki soorat mein ada hoti hai .
is terhan ain haqeeqi tasaveer wali video zahir hoti hai aur aisa lagta hai ke jaisay koi maahir –apne isharay se kuch samjha rha hai. yeh amal hathon haath haqeeqi waqt mein hota hai. aik waqt mein usay bohat se afraad video ke zariye dekh satke hain .
is ahem mansoobay ke liye university of siray ke bain sindrz aur un ke sathiyon ne نیورل net work banaya hai jo bolay gaye alfaaz ko ishaaron ki zabaan mein tabdeel karta hai. is ke baad sign age company ne is ke liye insani dhancha aur 3D model banaya hai. aik aur team ne ishaaron ki haqeeqi zabaan ke liye mawaad aur tasaveer paish ki hain .
is se qabal bhi Google ne video cal ke douran sign language zahir karne wali aik app banai hai lekin is mein baaz khamiyan theen taham sign age ka naya algorithm is se bohat behtar hai .