garmi ke zor ka “tor” kiijiye !
garmi ke zor ka “tor” kiijiye !qudrat ne hamein apni rozana ki ghizai zaroriat poori karne ke sath sath mousamoo ke utaar charhao ke douran apni sahet ki hifazat aur tawanai barqarar rakhnay ke liye tamam nematon se nawaza hai. phalon ko ghizaiyat ka khazana kaha jata hai aur Allah taala ne hamein har mausam ke aitbaar se phal ataa kiye hain jin ka istemaal hamari sahet aur tan durusti barqarar rakhta hai .
mosam e garma mein jism mein pani ki kami aik bara masla hai jisay daur karne aur garmi ki shiddat ke asraat se mehfooz rehne ke liye is mausam mein kayi phal mojood hain .
tarbooz
aam
faalsa
cherry
strawberry
isi terhan papeeta, litchi, khobani, angoor bhi bazaar mein mojood hain jo aik taraf to ghizaiyat aur jism ko tawanai faraham karte hain, wohi mausam garma ki shiddat se mehfooz rakhnay mein bhi madadgaar saabit ho saktay hain .