duniya mein sab se bara muh kholnay wala nojawan
duniya mein sab se bara muh kholnay wala nojawan,muh kholna to fitri amal hai magar Amrici nojawan ne sab se bara mun kholnay ka aalmi record –apne naam karliya .
agar ensaan zaroorat se ziyada mun kholnay ki koshish kere to uss ke jabray dard karne lagtay hain magar chand logon ko pedaishi tor par rab ki taraf se yeh salahiyat ataa ki jati hai ke woh bohat bara mun khol satke hain .
Amrici se talluq rakhnay walay’ philip angas’ ne haal hi mein sab se bara mun kholnay ka Alami record bana kar guinness buk of world record mein apna naam darj karwaya .
philip ka mun pauney chaar inch yani 9. 52 centi meter khilta hai ,
is hisaab se tennis cricket gaind aur saib se bara mun kholtey hain .
guinness buk of world record ki team ne philip ko aizaz diya kyunkay is se qabal yeh title esaak June sun Nami Amrici shehri ke paas tha jin ka mun 8. 8 centi meter khilta tha .
philip ka kehna tha ke inhen pehli baar 9 ya das saal ki Umar mein pata chala ke unn ka mun deegar logon ke muqablay mein bara khilta hai, yeh sun kar woh pareshan hue magar walidain ne hosla afzai ki aur ehsas kamteri ko daur kya .