duniya ko atom bomb ke istemaal ki dobarah ghalti nahi karni chahiye, turk saddar ka pegham
duniya ko atom bomb ke istemaal ki dobarah ghalti nahi karni chahiye, turk saddar ka pegham, turk saddar Rajab Tayyab ardwan duniya ke pehlay atomi hamlay ke 75 saal mukammal honay par kaha hai ke duniya ko atom bomb ke istemaal ki dobarah ghalti nahi karni chahiye .
tafseelaat ke mutabiq Japan ke shehar hiroshima aur nagasaki par atom bomb hamlay ke 75 saal mukammal honay par tark saddar Rajab Tayyab ardwan ny –apne pegham mein kaha ke duniya ko atom bomb ke istemaal ki dobarah ghalti nahi karni chahiye, jotbahi Japan ke awam ny dekhi is ghalti ko dohranay se roknay ki zaroorat hai .
yaad rahay aaj se 75 baras qabal 6 augst 1945 ki subah America ny hero Shima par atom bomb giraya tha ,
jis ke nateejay mein 1 laakh 40 hazaar afraad luqmah ajal banay they aur hazaron afraad mazoor o zakhmi hogaye they .
Japan ke muqami waqt ke mutabiq subah ke 8 baj kar 16 minute par Amrici bi 29 bambaar tayyaray ne little boy hero Shima par gira diya, little boy is pehlay atom bomb ka code naam tha, bomb giraye jatay hi lamhay bhar mein 80 hazaar afraad mout ki neend sogye jabkay 35 hazaar zakhmi hue aur saal ke ekhtataam taq mazeed 80 hazaar log taabkari ka shikaar ho kar mout ki agosh mein chalay gay .