Home Animals Duniya ki khofnaak billi

Duniya ki khofnaak billi

480
0
Duniya ki khofnaak billi

” zardaan’ ‘ Nami is billi ke jism par koi baal nahi, is ki khaal gulaabii hai aur poooray jism par jhuriyan pari hain jin ki wajah se internet par yeh’ ‘ Duniya ki khofnaak billi’ ‘ ke tor par mashhoor hai .

yeh Duniya ki khofnaak billi Switzerland ke aik chhootey se qasbay mein Sendra Fulpi Nami 47 sala khatoon ney palle hui hai aur woh is se be hadd pyar karti hain .

Sendra Fulpi ke mutabiq, jo koi bhi pehli nazar mein usay daikhta hai, dar jata hai lekin yeh bohat hi masoom si billi hai jisay insanon ke sath khelna aur datt kar sona bohat pasand hai .

un ka kehna hai ke inhen yeh billi pehli hi nazar mein bha gayi thi. tab yeh bohat choti thi aur is ke jism par jhuriyan bhi bohat kam theen. magar jaisay jaisay yeh barri hoti gayi, waisay waisay is ki jhuriyan bhi ziyada aur numaya hoti gayeen .

jab unhon ney social media par is ki taswerain share karayen to bohat se log is billi ko khalayi makhlooq samajh baithy .