diabetic ke mareez daliya, sabzian aur machhli ka istemaal karen, mahireen
diabetic ke mareez daliya, sabzian aur machhli ka istemaal karen, mahireen, tibbi mahireen ny diabetic ke marz mein mubtala mareezon ko mahswara diya hai ke woh daliya, sabzian aur machhli ka istemaal karen .
report ke mutabiq diabities ki dono aqsam mein khoon mein sugar ki satah ko normal rakhnay ke liye sab se ahem cheez gazaye ahthyat hai jis ke baghair diabities par qaboo paana mumkin nahi .
bar e sagheer mein diabities ka marz taizi se phail raha hai aur mareezon ki janib se jo sawal sab se ziyada poocha jata hai woh yahi hai ke woh kon konsi ghiza kha satke hain aur konsi nahi .
tibbi mahireen ke diabities ke mareezon ko daliya, sabzian aur machhli khanay ka mahswara day diya, mahireen ke mutabiq yeh gurdon ki bemari ke khilaaf bhi tahaffuz faraham karti hai .
tibbi mahireen ka kehna tha ke palaak, gobhi aur salad ke pattay jaisi hari sabzion ke istemaal se diabities honay ka khatrah 14 feesad taq kam hojata hai .
mahireen ka kehna hai ke bhoosi ke haamil aattay se bani chapati, diabities ke mareezon ke liye ziyada mufeed hai taham agar besan ki rootti ko ghiza mein shaamil karliya jaye to yeh bhoosi wali rootti se bhi ziyada sood mand saabit hogi .
tibbi mahireen ka kehna hai ke chawal aur rootti mamool ki ghiza ke laazmi ajza hain is liye sugar ke mareez hamesha chawal ya rootti mein se kisi aik ke intikhab mein tazabzub ka shikaar rehtay hain lekin mahireen ke un ghizai Hadayat par amal karen marz par qaboo paaya ja sakta hai .