Damagi fracture ka shikar no jawan insani calculator ban gaya
Damagi fracture ka shikar no jawan insani calculator ban gaya ,chpn mein holnaak haadsay mein dimaghi fracture ke shikaar honay ke baad Bharti nojawan taweel riyazati masail palak jhapakty hi hal kardete hain aur isi bana par inhen taiz raftaar insani calculator qarar diya gaya hai .
agar aap neela kantha bhano prkash se poucheen ke 869, 463, 853 ko 73 se zarb diya jaye to jawab kya hoga ?
sirf 26 second baad unhon ny jawab diya 63, 470, 861, 269 .
is se zahir hota hai ke prkash taweel hisaab kitaab ke sawalaat ko chuttki bjate hi hal kardete hain aur inhen Bharat mein duniya ka tezz tareen insani calculator qarar diya gaya hai .
bhano prkash naay bataya ke woh un masail ko jis terhan se hal karte hain woh’ astrkchrl practice’ kehlati hai. is mein aik paicheeda sawal ko kayi hisson mein tora jata hai aur usay hal kya jata hai lekin is douran har sawal ke jawab ko dimagh mein mehfooz rakhna avraakhri mein un sab ko jama karkay hatmi jawab haasil kya jata hai. woh is saal London mein munaqidah mind sports mein sonay ka tamgha bhi jeet chuke hain .
2005 mein bhano ki Umar sirf 5 baras ki thi ke woh –apne Aziz ki motocycle sameit aik truck se takra gay aur un ki khopdi chatakh gayi. kayi operation aur 85 tankon ke baad doctoron ne kaha ke shayad un ki dimaghi salahiyat shadeed mutasir hojaye gi. aik saal taq bistar par rehne ke baad bhano prakash ne shatranj khelna shuru kardiya aur hisaab kitaab ke masail hal karne lagey. is douran musalsal mashq se un ki salahiyaton mein nikhaar ata gya . saat saal ki Umar mein unhon ne dimaghi rayazi ke aik muqablay mein hissa liya aur kamyaab thehray .
ab bhano prakash aik ghayr-maa’mooli qabliyat ke haamil nojawan hain aur apni salahiyaton se har aik ko heran kardete hain .