Home Lifestyle Culture Daak Babu itna late kyun?

Daak Babu itna late kyun?

185
0
Daak Babu itna

Daak Babu itna late kyun?

Daak Babu itna late kyun,  ghalti hogayi janab jo mein ny aap ki help line par cal karne ki jesarat karli. gunah azeem hogaya jo daak khanaay ke shikayat sale mein do mah se gumshudaa parcel ke baray mein maloom karne ka soch liya’ ‘. naseer sahib ny yeh kehnay ke baad thuk se phone band kardiya aur post office walon ko kosnay lagey .

” had hogayi, do mah ho chalay hain, Fawad neh mere naye kapray aur chand kitaaben kya parcel karwa den kisi aur ko masla ho nah ho daak khanaay walay der karkay apni jalan nikaalte lagey hain. betay becharay neh socha hoga ke baap kitabon ke saharay hi kuch tanhai daur karlay ga lekin nahi, aulaad achi ho aur phir daak baabo bhi aaccha ho. naseer aisa mein –apne jeetay jee to nahi daikhon ga .

aur to aur is help line walay bad tameez larke ko dekho , mujhe kehnay laga barray miyan sirf apna naam bitayen hamaray paas aap ki tafseelaat pata karne ka waqt nahi. ghusse mein mein bhi usay aisa batata ke nani yaad ajati ke tum logon ki hi Website par likha hai ke tamam hudood arbah samnay rakh kar cal karen.’ ‘ naseer sahib ki khudkalami barhti gayi .

Pakistan post ke baray mein yeh kahani harf bah harf sach hai. is ka tajurbah mujhe bachpan se hi hai, kyunkay Lahore mein nanhiyal se milnay walay parcel, jo sardiyoon mein beje jatay they woh kam o besh aik daidh mahinay ke baad hi mila karte they. haan kabhi agar jaldi mil jatay to hamari khushee deedni hoti thi ya phir abbu hamein batatay they ke is dafaa is liye jaldi daak aayi kyunkay eid hai aur daakiye naay aidee wusool karni hai. sath hi aam dinon ke muqablay mein daak ke charges bhi ziyada hain .

aaj se 20 saal pehlay ki baat karoon to hamaray khandan mein kisi ko bhi parcel karwana hota to woh hamaray ghar aajate aur sath mein unhein malmal ka safaid kapra aur luck ( jis se kapra jora jata aur parcel ke kinaroon ko seenay ke baad mazboot kya jata tha ) bhi lana hota tha .

abbu sab ke parcel safaid dhaagay se site aur baad mein laal rang ki lick parcel ke kinaroon par laga kar parcel ko mazboot banatay. is douran hum bachay cheeze dekhte rehtay. hum kabhi phupho ya chacha waghera ki taraf se bhaije jany wali cheezon aur Ahaef ko nah to kharab karte nah hi un se kuch mangte. lekin is garam lick ko chone ki koshish mein kayi dafaa mein ne –apne haath jala daaley ke tajassus to sab bachon se ziyada mujh mein tha .

maazi ki terhan ab bhi post office ke hawalay se barq-e raftaar service ke buland bangh daaway kiye jatay hain ke sab kuch online hogaya, itni taraqqi hogayi, yeh ho gaya woh gaya. lekin nahi ab bhi khachar service hi hai .

ab bhi khutoot der se mlitay hain. ab bhi parcels ka koi wali waris nahi hota. ab bhi faslati taleem ke nataij aur kitabon ki tarseel takheer se hoti hai. parcel gum hojaye to 4 din ka waqt hota hai shikayat darj krwane ke liye. lekin shikayat darj karne walay amlay ka rawayya bohat talkh aur haqeerana hota hai. jisay tabdeel karne ki zaroorat hai .