corona virus ka ilaaj bil Gates ne barri khushkhabri sunadi
corona virus ka ilaaj bil Gates ne barri khushkhabri sunadi, micro soft ke baani bil Gates ny kaha hai ke anti viral adwiyaat aur anti body therapies ki badolat naye corona virus se honay wali bemari Covid 19 se honay wali amwaat ki sharah mein is saal ke aakhir taq numaya kami laane mein madad mil sakay gi .
Amrici Najia TV channel ko diye gaye aik interview mein bil Gates ny kaha ke is baat ka Qawi imkaan hai ke rawan saal ke aakhir taq naye tolz ke imtezaaj se amwaat ki sharah mein numaya kami aajay, un mein se beshtar is waqt ke liye hon ge jab Covid 19 ki sangeen alamaat nazar ayen jabkay un ki madad se ICU mein jaaney se qabal hi mareezon ka ilaaj mumkin hojaye ga’ .
corona virus se duniya bhar ke mumalik mein sharah amwaat mukhtalif hai jaisay Bartania mein 15. 2 feesad jabkay Saudi arab mein aik feesad, jabkay beshtar mumalik mein yeh sharah 4 feesad se kam hai .
bil Gates ka kehna tha ke anti viral dawa un chand adwiyaat mein se aik hai jis ko is terhan tayyar kya ja sakta hai ke sangeen alamaat ke aaghaz se qabal usay istemaal kya jasakay .
is dawa ko America aur Japan mein emergency istemaal ki manzoori di jachki hai aur mukhtalif tehqeeqi reports mein usay kaafi had taq mo-asar qarar diya gaya hai .
bil Gates ka mazeed kehna tha’ aisi do mazeed anti viral adwiyaat hain jo aayi v fusion ki bajaye mun ke zariye istemaal karai ja sakain, to is saal ke aakhir taq do mazeed anti vayrl adwiyaat ki nishandahi hosakti hai ya un ke farmole mean kuch tabdeelian ki ja sakti hain’ .
unhon ne mazeed kaha’ anti bodies mumkina tor par ziyada mo-asar hosakti hain jabkay mukhtalif companian is hawalay se zabardast kaam kar rahi hain, un ke trials bhi bohat taizi se agay barh rahay hain kyunkay aap hifazati fawaid ke muqablay mein ilaaj ke fawaid ziyada taizi se dekh saktay hain.