corona ki sab se’ musar’ vaccine bananay ke hawalay se bara moahida tey
corona ki sab se’ musar’ vaccine bananay ke hawalay se bara moahida tey, brazil ki hukoomat ne corona se bachao ke liye ab tak ki sab se muaser tajribati vaccine muqami satah par bananay ka moahida tey karliya .
francesi idaray ki report ke mutabiq brazil ne oxford university ki janib se banai jane wali astrazeneka company ki tajribati vaccine muqami satah par tayyar karne ka moahida tey kya .
muahiday ke tehat brazil muqami satah par tajribati vaccine tayyar karne ke liye baara crore sattar laakh do
muahiday ke tehat brazil ka public health insti tute aur osaldo karz foundation mil kar vaccine tayyar karen ge jis ke liye inhen jadeed tecnology faraham ki jaye gi taakay rasad mumkin hosakay .
mazeed parheen cheen corona vaccine bananay ke qareeb poanch gaya
wazeer e sahet aur franko ke executive secretary ka kehna tha ke vaccine ki manzoori ke baad muahiday ke tehat brazil bhi vaccine tayyar kar sakay ga. unn ka kehna tha ke dono fariqain mein pedawari khudmukhtaari badhaane ke liye tecnology ka tabadlah bhi hoga .
llar astra zeneka company ko faraham kere ga .
wazeer e sahet ny bataya ke hum ny yeh moahida is liye kya ke kahin vaccine ki qillat peda nah hojaye, hamaray mulk mein barhatay hue kisz ke baad vaccine ki talabb bohat ziyada barh sakti hai, awam ki zindagi ko mehfooz bananay ke liye hum baghair munafe ke hi dawa ki tarseel ka silsila jari rakhen ge .
aalmi idaara sahet (WHO ) ke mutabiq Bartanwi dawa saaz company astra zeneka ki vaccine ab tak hosla afzaa nataij ke hawalay se sare fehrist hai ,
yeh bhi parheen oxford ki nai corona vaccine ke misbet nataij samnay aaye, science daan
imkaan yeh bhi zahir kya ja raha hai ke astrazeneka ki vaccine aalmi waba ke khilaaf jung mein sarkari darjaa bhi haasil karle gi. Bartania mein barray pemanay par is vaccine ki insanon par azmaish ka silsila bhi jari hai .