Chikken Alfredo Pasta recipe
Chikken Alfredo Pasta recipe , yeh lajawab pasta ki tarkeeb halki phlki magar kareemi sauce se bharpoor hai. pakkay hue penny pasta ke oopar alfrido sauce ki mazedar topping ki jati hai, jo doodh, kareem, origano, thaym aur sab ka pasandeeda izafah mushrooms ke shandaar imtezaaj se tayyar ki jati hai. un tamam ajza ke milaap se ban’nay wali meethi aur zayega daar sauce is dish ke zaiqay mein izafah karti hai aur jo yaqeenan aap ke mun mein bhi pani le aaye gi. agar aap uljan ka shikaar hain ke jummay ki raat khanay mein kya pakana hai, to yeh tarkeeb aap ke liye hi hai
Ajza:
Chikken
Makkhan 1 khanay ka chamach
Lehson/ garlic 1 se 2 joay katay huay
Pyaz adhi katti hui
Chikken boneless 0.5 kg
Sauce k lye
Makhan 1 chaye ka chamch
Mashroom 2 se 3 adad kattay huay
Dhood/ milk 250gm
Cream 1 cup
Namak hasb e zaiqa
Kali mirch hasb e zaiqa
Sfaid mirch adha chaye ka chamch
Thaym adha chaye ka chamch
Oregano adha chaye ka chamch
Chikken powder 1 chaye ka chamch
Kalay zetoon 4 se 5 adad
Parsalay 1/4 gaddi kutti hui
Tarkeeb
- aik pateelay mein darmiyani aanch par makhan ko pighla len, ab is mein lahsun aur pyaaz shaamil karen aur rangat tabdeel hojane taq bhon len .
2. ab is mein baghair haddi wali chicken shaamil karen, aur 8 se 10 minute taq, ya phir murghi ke Gul janey taq pakayen .
3. ab chicken ko nikaal len aur aik taraf rakh den .
4. Isi pan mein darmiyani aanch par makhan pighla len ab is mein mashroom dalain. jab taq mashroom naram nah ho jaien tab taq pakayen .
5. ab is mein thora thora kar ke doodh shaamil karen, darmain mein achi terhan se chamach chillatay rahen .
6. ab is mein kareem shaamil karen aur chamach chalayein, yahan taq ke tamam cheeze achi terhan mix ho jaien aur sauce gaarhi honay lagey .
7. ab is mein namak, kaali mirch, safaid mirch, thaym, origano, aur chicken powder shaamil karen, aur achi terhan chamach chalayein taakay tamam ajzaa aapas mein yakjaan ho jaien .
8. ab is mein murghi ka gosht shaamil karen aur achi terhan mix karlen .
9. ab is mein kalay Zaitoon aur parsley shaamil karen aur achi terhan mix karen .
10. ab is mein Abla hwa penny pasta shaamil karen aur tamam cheezon ke yakjaan hojane taq achi terhan mix karlen .
11. garma garam mazedar la jawab chicken alfrido pasta se lutaf athayin aur neechay comments section mein hamein apni qeemti raye se aagah karen .