Cheen sarif na lucky number wala mobile 5 crore mai khreed lia
Cheen sarif na lucky number wala mobile 5 crore mai khreed lia, cheen mein aik Sarif ny khush qismati ki alamat samjhay jany walay hindsay par mushtamil mobile number ko nelamee mein 3 laakh dollar mein khareed liya .
aalmi idaray ke mutabiq chain mein online nelamee ke douran shehri ny aik aisa mobile number 3 laakh 25 hazaar dollar ( 5 crore rupay ) mein khareed kar sab ko heran kardiya jis ko khareedney ke liye 5 hazaar se zayed afraad ny buliyan lagai theen lekin sab se ziyada boli laganay par mzkorh shakhs ko yeh number day diya gaya .
is mobile number ki sab se khaas baat aakhir mein lagataar paanch martaba 8 ka hindsa aana hai. 8 ke hindsay ko chain mein khush qismat samjha jata hai. cheeni zabaan mein 8 hindsa angrezi ke lafz khushhali se mamaslat rakhta hai. isi wajah se is numbers ki kharidari mein hazaron logon nay ghair mamooli dilchaspi ka izhaar kya tha .