Bharat mai gadhi k dhood ki qeemat sun ker ap heran reh jaye gay
Bharat mai gadhi k dhood ki qeemat sun ker ap heran reh jaye gay, Bharti riyasat gujrat mein gadhon ki aala nasal’ ‘ halari’ ‘ ki khoob maang hai is nasal ki gadhi ke doodh ko sahet bakhash aur kayi bimarion ka ilaaj tasawwur kya jata hai, yahi wajah hai ke is doodh ki fi lutter qeemat 15 hazaar rupay hai .
Bharti media ke mutabiq gujrat mein halari nasal ke gadhon ke baqaida diri form qaim kiye gaye hain jahan is nasal ki gadhi ka doodh farokht kya jata hai, is doodh ki ifadiyat aur taaqat war ajza par mushtamil honay ke sabab log daur daraaz ilaaqon se kharedne atay hain. talabb ziyada honay ke baais is doodh ki qeemat bhi intahi ziyada hai .
mahireen ka kehna hai ke insani doodh ki terhan gadhi ke doodh mein bhi lectose ziyada hai jab ke protein aur charbi kam hai, yahi wajah hai ke is doodh ko woh log bhi istemaal kar saktay hain jinhein gaaye ke doodh se allergy ho taham yeh doodh jald phatt jata hai aur is se paneer nahi banaya ja sakta .
wazeh rahay ke ziyada tar mumalik mein gadhon ko barbrdari ke liye istemaal kya jata hai, chain mein dwayyan bananay aur furniture mein gadhay ki khaalon ka istemaal kya jata hai jab ke Europi mumalik mein cosmatic ki ashya banai jati hain lekin pehli baar kisi malik mein gadhi ke dhood k lia dairy form bnaya gya hai.