Home Lifestyle Dining Bhang say karkerdagi mai waqaye azafa huta hai, tahqeeq

Bhang say karkerdagi mai waqaye azafa huta hai, tahqeeq

321
0
Bhang say karkerdagi

Bhang say karkerdagi mai waqaye azafa huta hai, tahqeeq

Bhang say karkerdagi mai waqaye azafa huta hai, tahqeeq , aik mutanazia lekin dilchasp tahaqeeq mein Amrici mahireen naay daawa kiya hai ke bhang, Hasheesh aur ganja istemaal karne se karkardagi mein waqai izafah hota hai, bashart e kay usay durust waqt par istemaal kya jaye .

wazeh rahay ke canada aur kayi Amrici reyaston ke ilawa kuch Europi mumalik mein bhi 18 saal ya is se ziyada Umar ke afraad ke liye Hasheesh / bhang ke istemaal ki qanooni ijazat hai .

deegar nashon ke bar aks, bhang ke baarey mein yeh ta-assur aam hai is se peenay walay ko koi nuqsaan nahi hota, jabkay karkardagi mein numaya izafah hota hai. taham yeh baat sirf aik mafrooza thi jis ke haq mein koi thos saboot mojood nahi tha .

isi tanazur mein reserch journal’ ‘ group and organization managment’ ‘ ke taaza shmare mein saan dyago university, California aur abran university, alabama ke mahireen ki aik mushtarqa tehqeeq shaya hui hai jis mein unhon ne bhang istemaal karne walay 281 afraad ka tajzia karne ke baad yeh saabit kya hai ke bhang peenay walon ki karkardagi mein’ ‘ waqai’ ‘ izafah hojata hai .
yeh feature bhi padhiye  ab bhangi k_hlana baais fakhr ho ga

Albata , bhang se karkardagi mein izafah sirf unn hi raza karon mein dekha gaya

jinhon neh poooray din ki mehnat se thak jan_e_ ke baad, shaam ke waqt bhang istemaal ki thi. aisay afraad ki karkardagi aglay roz wazeh tor par behtar thi .

un ke bar aks, mutalay mein shareek jin afraad neh subah nashtay ke foran baad ya phir din mein kisi waqt bhang pi thi, un ki karkardagi behtar honay ke bajaye kharab hogayi .
baat sirf karkardagi taq hi mehdood nahi rahi balkay din mein bhang peenay walon neh kaam ke douran –apne rfqaye car ke sath larai jhagra karne ke ilawa aisay royyon ka izhaar bhi kya jinhein’ ‘ ghair samaji’ ‘ shumaar kya jata hai .

agarchay yeh mutalea saabit karta hai ke bhang peenay se aasabi tanao aur thakan mein kami ke baais raat ko sukoon ki neend aati hai, jis ke nateejay mein aglay roz karkardagi behtar hojati hai, lekin deegar mahireen ko is par khasay aatrazat hain .

maslan is mein yeh nahi bataya gaya ke bhang peenay walay afraad kitney arsay se is ka istemaal kar rahay thay, aur yeh ke rozana woh kitni bhang peetay thay. dosra ahem aitraaz yeh hai ke bhang ke asraat ka mutalea sirf 281 afraad par kya gaya hai jo bohat kam tadaad hai .