Home recipes behtareen aur teekhay masalon mein paki bakray ki champain

behtareen aur teekhay masalon mein paki bakray ki champain

338
0
behtareen aur teekhay masalon

behtareen aur teekhay masalon mein paki bakray ki masalay daar chaampain

behtareen aur teekhay masalon mein paki bakray ki masalay daar chaampain –apne munfarid aur shandaar mazay ke baais nihayat maqbool hain. yeh mehkta sun-hwa mazedar pakwaan aik terhan se Shahi pakwaan hai jisay khaas mawaqay ya barri taqrebaat mein paish kya jata hai. bakray ke gosht aur teekhay masalon ke mazay se labraiz is pakwaan ko halki phlki ishtiha angaiz dish ke tor par bhi paish kya ja sakta hai .

ajzaa
for marinate
bakray ki chaampay 6 adad

laal mirh 1 chaye ka chamch

kaali mirch pisi hui 1 chaye ka chamch

zeera pisi hua 1 chaye ka chamch

dhaniya powder 1 chaye ka chamch

garam masala 1 chaye ka chamch

namak hasb e zaiqa

sabat zeera 1 chaye ka chamch

adrak lehson paste 1 khanay ka chamach

dahi 1 cup

hari mirchain bareek katy hui 2 adad

lemon ka rus 1 khanay ka chamch

haldi pisi hui 1.5 chaye ka chamch

oil/tail 2 khanay k chamch

bhuni hui pyaz 0.5 cup

foil paper ki pattiyan hasb e zrorat

tarkeeb
1. aik barray pyaale mein bakray ki champay len is mein pissi hui laal mirch, kaali mirch, pissa hwa zeera, dhaniya powder , garam masala, namak, saabit zeera, adrak lahsun ka paste aur dahi daal kar achi terhan mix karlen .
2. ab is mein hari mirchain, lemoo ka ras, pissi hui haldi aur khordani tail daal kar achi terhan mix karen taakay tamam ajza ykjan ho jayen. is ke baad usay kam azkam 20 minute taq ke liye utha kar aik taraf rakh den .
3. ab aik barray bartan mein marinate ki hui bakray ki chaanpon ko rakhen aur is mein tail daal kar un sab ko achi terhan mix karen .

4. ab is mein bhuni hui pyaaz daal kar achi terhan mix karen aur is ke baad 15 se 20 minute taq ke liye dam par rakh den taakay gosht achi terhan Gul jaye .
5. ab un tamam chaanpon ke nokdaar suron ko aik aik karkay foil paper mein achi terhan lapait len .
6. masalay daar chaampay tayyar hain. neechay diye gaye khanaay mein hamaray liye apni qeemti raye darj karen .