barf ka tufaan jis ne science daano ko heran kardiya
barf ka tufaan jis ne science daano ko heran kardiya, America ki riyasat mnisota ko das hazaar jheelon ki sarzamen kaha jata hai. yahan kayi barri jhelen aur tafreeh gahin hain jahan har saal lakhoon ki tadaad mein log atay aur qudrat ke Hussain nazaron se behaltay hain .
is ilaqay mein mukhtalif barson ke douran nagehani afaat ki wajah se maali aur jani nuqsanaat hotay rahay hain, lekin aik qudrati aafat aisi thi jis ney sab ko herat main daal diya .
yeh aik jheel mein ban’nay wala barf ka tofan hai jisay baad mein apni noiyat ka ajeeb waqea qarar diya gaya .
daryaaon ka baphena ya samandari tofan ya shadeed barf baari koi nai baat
nahi aur un qudrati afaat ke nateejay mein ensaan naay maali aur jani nuqsanaat bhi jhele hain, magar kisi jheel mein jami hui barf ka tufan pehlay kabhi nahi dekha gaya tha .
khauf naak baat yeh hai ke 2018 ka yeh barfani tufan jheel aur is ke qurb o jawar taq mehdood nah raha balkay mailon daur taq tabahi ka baais bana .
is tufan ke waqt achanak taiz hawaon se barf chothee barri slon ya tukron ki soorat jheel ke kinaroon par aur daur daur jaakar girnay lagey. yeh tukre qareebi abadi taq hwa ke zor se urr kar pounchanay lagey aur poori qowat se imaarton aur gariyon se takraye aur bohat nuqsaan hwa .
isi terhan ka aik tufaan canada ke saahil par bhi aaya tha. America main barf ka woh tufaan aik ajooba aur moima hai .