Home Health bachon ko nazla o zukam se bachanay ke liye

bachon ko nazla o zukam se bachanay ke liye

322
0
bachon ko nazla

bachon ko nazla o zukam se bachanay ke liye walidain yeh tareeqa apnayen

bachon ko nazla o zukam se bachanay ke liye walidain yeh tareeqa apnayen, nazla o zukam bachay to bachay barron ko bhi apni lpait mein le laita hai, yeh virus ki terhan aik se dosray mein muntaqil hota aur deegar bimarion ke darwazay bhi kholta hai .

mahireen ne isi zimn mein chand aisi Hadayat jari ki hain jin ki madad se walidain –apne bachon ko is virus se mehfooz rakh satke hain. nazla o zukam se bachon ko saans ki tangi, sotay waqt be cheeni, doodh peenay mein mushkil hoti hai. baaz auqaat barray Umar ke bachon ko ghiza nighalnay mein bhi takleef hoti hai .

nomolood bachon mein nazla o zukam ki wajah

tibbi mahireen ka kehna hai ke deegar ke muqablay mein nomolood bachay ziyada nazla o zukam ka shikaar hotay hain is ki bunyadi wajah un mein mdafati nizaam ka kamzor hona hai, nomolood bachay agar nazlay ka shikaar ho jayen to un ki naak bhar jati hai .

bachon ko nazla o zukam se bachanay ke liye walidain yeh tareeqa apnayen, is terhan bachay ko saans lainay mein dushwariyan paish aati hain aur rang peela ho jata hai .

nazla o zukam ka ilaaj

walidain ko chahiye ke woh nazla o zukam ka shikaar nomolood bachay ki naak par garam compress lagayen jis ke zariye bachay ke chehray par hararat puhanche gi, maa ke doodh se bhi faida puhanche ga kyun ke is mein qudrati anti biotic hoti hai .

isi terhan agar barray Umar ka bacha is virus ka shikaar hai to usay garam jari bootion ke mashrobat fraham karen jo qowat mudafat ko mazboot karen ge. lemoo aur shehad ko mila kar istemaal karen. walidain bachay ko adrak ka tukda den is ka zayega badalny ke liye oopar shehad laga den, cheeni ka istemaal hargiz nah karen .

nazla o zukam ke ilaaj ke liye namkeen mehlool bhi istemaal kya ja sakta hai .