Bachay ki dhood ki botle main plastic k lakhon zarat ho saktay hain
Bachay ki dhood ki botle main plastic k lakhon zarat ho saktay hain, science danon ne khabardaar kya hai ke bachon ko doodh pilanay wali plastic ki bottlon ko agar zor se hilaya jaye to is amal mein bhi plastic ke lakhoon zarraat doodh mein chalay jatay hain jo aakhir-kaar nomolood ke jism mein pahonch jatay hain .
maslan agar aik letter powder walay doodh ko bottle mein hilaya aur milaya jaye to das se chalees laakh bareek zarraat bhi doodh mein shaamil ho jatay hain. taham ab tak yeh saabit nahi ho saka ke khurd beeni plastic bachay ke liye muzir hosakti hain ya nahi .
college Dublin ke sainda jaan boland kehte hain ke bachon ki botelain poli propyleen plastic se bani hoti hain aur 69 feesad botelain isi qisam ke plastic par mushtamil hoti hain. plastic ke zarraat ke liye unhon ne kuch tajarbaat kiye .
pehlay nai fidr botelain khareedain aur inhen dhokr khushk kya gaya. phir is mein saaf pani dala gaya aur pani ko 70 centi grade par garam kya gaya tha. kyunkay doodh farmolh bananay ke liye pani ko isi darja hararat tak garam kya jata hai. unhon ne bottle ko hilaya to aik letter pani mein plastic ke chalees laakh zarraat note kiye gaye .
is ke baad mahireen ne farmolh doodh tayyar kya aur is mein bhi plastic ke itnay hi zarraat note kiye gaye. mahireen ne kaha hai ke is terhan plastic ki bohat barri miqdaar doodh ya kisi bhi maya mein shaamil hojati hai. lekin plastic ke yeh zarraat bohat bareek hotay hain .
jaan boland kehte hain ke plastic ki botelain aur deegar ashya dheeray dheeray ghulti hain aur un mein zarraat kharij hotay rehtay hain. lekin ab maloom hua ke yeh hamari tawaquaat se kahin barh kar hain. yahan tak ke bottle ko hilanay se bhi plastic ke lakhoon zarraat kharij hotay hain jo aik herat angaiz amar hai .
science danon ke mutabiq abhi yeh janna zaroori hai ke aaya yeh zarraat kis qader nuqsaan da hain. tab tak un ka mahswara hai ke bachon ka doodh kisi dhaati bartan mein garam karlen ya farmolh banalen. is ke baad hlakr usay bottle mein daal kar bachay ko pilaya jaye .