babchi ya bacochi: woh poda jis ka beej mutadid bimarion se nijaat dila sakta hai
babchi ya bacochi: woh poda jis ka beej mutadid bimarion se nijaat dila sakta hai , cheen aur hindostan main sadiyon se mukhtalif jismani takaleef aur amraaz ke ilaaj mein babchi ( psoralea corylifolia ) ka istemaal kya jata raha hai .
yeh poda hindostan, Srilanka mein pathreli zameen, khait ki barhon aur khandarath mein paaya jata hai aur America mein bhi peda hota hai .
babchi ko bacochi bhi kaha jata hai. is ka poda 3 foot ya is se ziyada ouncha ho sakta hai. is ke pattey sabz rang ke aur choray hotay hain aur har pattey ki jarr mein shehtoot se milta jalta aik khosha hota hai. is mein chhootay chhootay safaid aur gulaabii rang ke phool hotay hain .
is ke beej badami rang ke siyahi mael hotay hain. yeh nihayat sakht hotay hain. un ka zayega talkh hota hai. un par aik chipaknay wali ratobat hoti hai aur yeh beej hi dawa ke tor par istemaal hotay hain .
babchi ke beejon ka sufoof bers ki bemari ke ilaaj mein mufeed bataya jata hai. is ke beej saanp, bichhoo ke kaatnay aur jaldi bimarion ke ilaaj main istemaal kiye jatay hain .
hakeem usay khoon saaf karne, maida ki durusti aur taaqat, pait ke keeron ke khatmay aur balgham daur karne ke liye mufeed batatay hain .