Home Lifestyle Beauty Azarbaijan k funkar ka tyar krdah pighltay huay qaleen

Azarbaijan k funkar ka tyar krdah pighltay huay qaleen

313
0
Azarbaijan k funkar

Azarbaijan k funkar ka tyar krdah pighltay huay qaleen

Azarbaijan k funkar ka tyar krdah pighltay huay qaleen , azerbaijan ke aik fankar ney qaleen ke khaas dizaynon se duniya ko heran kardiya hai. un ki sab se umdah takhleeq woh qaleen hai jo oopar se bilkul durust lagta hai lekin jaisay hi hum neechay dekhte hain to aisa lagta hai ke is ke rang beh kar zameen par phail gaye hain .

taham yeh kaam itna aaasaaan nahi kyunkay riwayati qaleen baki mein is ka bohat khayaal rakhna parta hai aur mamooli ghalti se sara ka baggar sakta hai. is kaam ke maahir Mohammad Faiq poori duniya mein mashhoor ho chukay hain aur dilkash rangon ke sath khobsorat takhleeqi design bnarhe hain .

wast asiayi mulk azerbaijan mein qaleen bafi ki tareekh hazaron saal purani hai. Faiq Ahmed ke design riwayati andaaz se shuru hotay hain lekin baad mein aisa lagta hai ke design kharab hogaya hai, kahin is ke pixel ban jatay hain ya rang barangi bhanwar ki shakal ikhtiyar kar lete hain. lekin Faiq is khoubsurti se yeh kaam karte hain ke har qaleen shehh Parah ban jata hai .

Faiq Ahmed ny aik qaleen ko kuch is terhan banaya hai ke is mein qaleen dar qaleen aik la-mutnahi design ki soorat mein nazar aata hai. dosray design mein qaleen Khamida dikhayi deta hai aur aisa bilkul nahi kyunkay yeh aik terhan ka design hi hai. naqideen ny un ke kaam ka taaza rujhaan aur herat angaiz qarar diya hai kyunkay dekhnay wala heran reh jata hai .

lekin un mein se bohat kam qaleen hi farokht ke liye paish kiye gay hain kyunkay Faiq Ahmed ko apni har takhleeq se be panah mohabbat hai .