Apko sehat mand rkhnay wali smart thali
Apko sehat mand rkhnay wali smart thali ,poori duniya mein sehat ki fikar rakhnay walay afraad apni ghiza ka khaas khayaal rakhtay hain jin mein khanay ki miqdaar, ghizaiyat aur calries shaamil hain. ab is kaam ke liye aik smart plate banai gayi hai jo aik hi waqt mein das hazaar se zayed khanay pehchan sakti hai, is ka wazan karti hai aur ghizaiyat aur calories ka ahwaal batati hai .
duniya ki pehli zaheen plate ko’ smart plate taap view’ ka naam diya gaya hai. is ke teen hissay hain : teen hudood wali aik plate, aik electronic daak station aur teesra smart phone bimaa app. aap barqi daak par plate rakhtay hain to yeh is ka wazan karti hai aur khanay ki miqdaar batati hai. is ke baad aap smart phone se tasweer letay hain to software usay foran pehchan kar is mein mojood ghizaiyat, calories se aagah karta hai .
smart plate ke is mansoobay ko crowd fndng plate form par shaamil kya gaya hai aur abhi is ki tijarti pemanay par tayari jari hai .
jaisay hi aap app se tasweer letay hain plate ka smart plate form khanay ka wazan karkay usay app mein daakhil karta hai. phir taswerain masnoi zahanat se pata lagati hain ke plate mein palaak hai ya palao. is ke baad khoraak mein protein, carbohydrates , calories aur chaknaiyon ka andaza lagaya jata hai. is kaam mein chand second lagtay hain. yeh khasiatein is plate ko duniya ki pehli smart thaali banatay hain .
smart plate ki app android aur Apple IOS dono ke liye tyarki gayi hai. is ke ilawa app mufeed khaano aur sehat bakhash ghzaon ki rahnumai bhi karti hai. agar aap calories ki hudood rakhna chahtay hain to app is mein madad karti hai .
khanay ki shanakht karne wali technology mein agarchay maghribi khanay ziyada hain. taham company ke mutabiq is mein poooray America mein har tabqay aur malik ki dshin shaamil ki gayi hain jinhein software shanakht karleta hai. is terhan app mein chaar laakh khanay shaamil hain. is ke ilawa mulki aur bain al aqwami 625 restorano ka meino bhi shaamil kya gaya hai .