aman ka aalmi din fakhta ko aman ki alamat kyun mana jata hai ?
aman ka aalmi din fakhta ko aman ki alamat kyun mana jata hai, aaj Pakistan samait duniya bhar mein aman ka aalmi din manaya ja raha hai jis ka maqsad duniya bhar mein aman ki koshisho ko farogh dena hai, kya aap jantay hain fakhta ko aman ki alamat kyun mana jata hai ?
aqwam mutahidda ke zair e ihtimaam is din ko pehli baar sunah 1982 mein manaya gaya. 2001 mein aqwam mutahidda ki general assembly ki qarardad number 52 ke tehat is din ko mana ne ka faisla kiya gaya, aur 2002 mein usay pehli baar aalmi tor par manaya gaya .
is din ko mananay ka ahem maqsad duniya ko hathyaaron se pak karna aur aman ki ahmiyat ko ujagar karna hai .
rawan baras is din ka markazi khayaal mil kar aman qaim karna hai .
maghribi mumalik aur aqwam mutahidda jahan aik janib masawaat aalam ka pegham day rahay hain wahein Kashmir , Palestine , barma aur duniya ke deegar khitton mein musalmanoon par honay walay yaktarfa mazalim aqwam mutahidda ke idaray ki karkardagi par aik bohat bara sawalia nishaan hain .
Fakhta. Aman ki alamat
fakhta yonani aqaed mein mohabbat aur zindagi ki alamat samjhi jati thi, esaiyat mein bhi usay ahem hesiyat haasil hai. injeel mein kaha gaya hai ke jab selaab anay laga to hazrat Nooh alaihi salam ne aik fakhta ko fiza mein chore diya .
kuch din baad fakhta wapas aayi to is ki chonch mein Zaitoon ki shaakh thi jo is baat ka izhaar thi ke selaab khatam hochuka hai aur zameen par zindagi lout aayi hai .
Zaitoon ki shaakh ko bhi aman ki alamat samjha jata hai, yunanion ka maanna tha ke jis jagah Zaitoon ki shaakh mojood ho is jagah se shaytani quwatoon ka khtama hojata hai .
unniswen sadi ke aik Maroof francesi musawir hunri matsi ne fakhta aur is ki chonch mein Zaitoon ki shaakh nihayat khoubsurti se paint kar ke –apne behtareen dost, hareef aur aik aur Maroof haspanwi musawir pablo piccaso ko bhjwayi .
piccaso ne is fakhta ki hashiye ( lakeer ) se dobarah tasweer banai. sunah 1949 mein aqwam mutahidda ne aman ki aalmi conference ke douran isi tasweer ko aman ki alamat ke tor par paish kya .
tab se siyah hashiye se khinchi fakhta aur is ki chonch mein Zaitoon ki shaakh aman ki aalmi alamat maani jati hai .