Home Lifestyle Dining akhrot sehat ke liye intehai mufeed qarar

akhrot sehat ke liye intehai mufeed qarar

398
0
akhrot sehat ke

akhrot sehat ke liye intehai mufeed qarar

akhrot sehat ke liye intehai mufeed qarar, mahireen sehat ne akhrot ko insani sehat ke liye intehai mufeed qarar day diya .

tafseelaat ke mutabiq tibbi mahireen ka kehna hai ke akhrot mein mojood proteins, vitamins, minerals na sirf jism mein cholesterol ko kam karte hain balkay blood pressure aur amraaz qalb se bachao mein mo-asar saabit hotay hain .

tibbi mahireen ke mutabiq akhrot ke istemaal se dimaghi sehat behtar rehti hai, dil ke amraaz se bachata hai aur diabities ka khatrah taall deta hai, baal, jald aur naakhun ke liye be had mufeed hai .

din mein paanch akhrot khanay se jism ko ghizaiyat aur vitamins milna shuru ho jaien ge aur un vitamins ke zariye aap khud ko tar o tazah mehsoos karen ge .

akhrot ke zariye zehni dabao se chhutkara paaya ja sakta hai chunkay is mein anti oxident mojood hotay hain jo ke aap ke jism mein mojood mukhtalif bimarion ke khilaaf lartay hain jaisay dil ke amraaz waghera .

ilawa azeen is mein mojood omega three fatty asid ke zariye zehni dabao se nijaat millti hai .

omega three fatty acid aur vitamin E se bharpoor akhrot balon mein nami barqarar rakhnay mein madadgaar saabit hotay hain, is ke ilawa un mein copper ki miqdaar bhi kaafi hoti hai jo jald aur balon ke qudrati rang ko barqarar rakhnay mein madad dete hain jabkay is minral ki kami aap ke balon ko qabal az waqt safaid kar sakti hai .

tibbi mahireen ka kehna hai ke akhrot ka istemaal aitdaal se kya jaye to hi faida mand hai, un ka istemaal mukhtalif pkwanon mein bhi kya jata hai, akhrot se banay pakwaan bohat hi mazedar hotay hain, akhrot se banay cake, bread, pudding, biscuits, halwa, salads waghera bohat pasand kiye jatay hain .