Home Photos aik khatoon ki tasweer ne social media ko maidan jung banadiya

aik khatoon ki tasweer ne social media ko maidan jung banadiya

260
0
aik khatoon ki tasweer

aik khatoon ki tasweer ne social media ko maidan jung banadiya

aik khatoon ki tasweer ne social media ko maidan jung banadiya, shaam ki khatoon ki tasweer social media par viral hui to hamion aur mukhalfin ny samaji raabtey ki Website ko maidan jung bana diya .

ghair mulki  idaray ki report ke mutabiq Shami khatoon awwal social media media par bohat ziyada mutharrak rehti hain aur aksar un ke bayanaat ya tasaveer samaji rabton ki Website par hamion aur mukhalfin mein jung o jadal ka baais bantay hain .

is martaba Shami khatoon awwal asmaa al asad ny painting social media par atishzadgi ka baais bani, mazkoorah tasweer shaam ki muqami artist lana itmaja ny tayyar ki thi

jis ki aks bandi karkay usay –apne Facebook page par share kardiya .

asmaa al asad ki khaka numa tasweer social media par aayi to hamion aur mukhalfin ke darmian phir behas shuru hogayi, oppostion ke hamion naay is tasweer par tabsarah karte hue munharif honay walay sipahi qaisar ki janib se jari kardah pachaas hazaar tasaveer ka maamla bhi chairr diya .

wazeh rahay ke munharif fouji faser naay hukoomat ke khilaaf baghaawat ke waqt pachaas hazaar tasaveer par mabni data chori kya tha ,

un tasaveer mein Shami jailon mein qaidyoun par honay walay wehshiana tashadud aur oppostion ki tashadud se maskh shuda laashon ki tasaveer shaamil thi .

Bishar hukoomat ke mukhalfin ne asmaa al asad ki tasweer par tabsarah karte hue inhen aik mujrim qarar diya aur kaha ke asmaa jaisay log kisi hamdardi aur ehtram ke haq daar nahi .