ab tadfeen bhi kaarobar ban gayi, professional dafnane walay market main dastyab
ab tadfeen bhi kaarobar ban gayi, professional dafnane walay market main dastyab, misar mein marnay walay afraad ki aakhri rasomaat ada karne ke liye company khil gayi, raqam ki adaigi ke baad company ke mulazmeen marnay walay shakhs kafan se leker dafan ke intizamaa karen ge .
ghair mulki idaray ki report ke mutabiq africi mulk misar mein aik aisi company kaam kar rahi hai jo marnay walon ki aakhri rasomaat ka intizamaa karti hai yahan tak ke marnay walay ke lawahiqeen ke sath izhaar hamdardi bhi karti hai .
company ne’ aap ne zindagi mein un ki izzat o ehtram kya aur hum un ke marnay ke baad un ka Ikram kar rahay hain’ ka slogan apnaya gaya hai .
company ke shareek baani Ahmed job ALLAH ka kehna tha ke un ki company jnazon ke ghusal o kafan aur dafan ke sath sath taziyati programat aur faut honay walay shakhs
ke aisaal sawab ke liye nikalay gaye sadqat wa kherat mustahiq afraad tak pohanchanay ki bhi injaam deti hai .
job ALLAH ka kehna tha ke inhen yeh company kholnay ka khayaal 2005 mein aaya tha aur 7 saal qabal mein ne –apne doston ke taawun se yeh company qaim ki, jo abtak 340 mardon ki tadfeen ke intizamaa kar chuki hai .