Home Technology Ab antoon ki pacheeda colonoscopi robot anjam dain gay

Ab antoon ki pacheeda colonoscopi robot anjam dain gay

423
0
Ab antoon ki pacheeda

Ab antoon ki pacheeda colonoscopi robot anjam dain gay

Ab antoon ki pacheeda colonoscopi robot anjam dain gay, anton ke andar ka ahwaal dekhnay ke liye andoscope aur colonoscopi  se madad li jati hai. lekin yeh amal bohat waqt, talabb, takleef da aur paicheeda hota hai. ab is kaam ke liye aik jadeed tareen robot banaya gaya hai .

Bartania ki university of lidz ke pitro weldastery aur un ke sathiyon ne aik robot baazu banaya hai jo machine learning algorithm ke zariye aik lachak dar nizaam anton ke andar bhejta hai is douran camera andar ke manazair dekhata rehta hai. fi al haal is ki azmaish khanzeeron aur insaan se mshabahh masnoi aant se ki gayi hai .

is ke tafteshi siray par maqnateesi aala lagaya gaya hai aur kinare par jadeed camera bhi nasb hai jabkay robot ko jism ke bahar aik maqnatees se agay badhaya jata hai. yeh robot azkhud kaam karta hai aur usay aik maahir dr bhi joy stick se chlaskta hai. pitro ke mutabiq yeh amal aasaan hai aur ain video game khailnay jaisa hai. is ka software pait ke andar andoscope ki 3D mahal-e wuqoo aur harkat ko yaad rakhta hai .
is waqt duniya bhar mein jo andoscope istemaal horahee hain inhen chalana aur is se kaam lena bohat mushkil hota hai. yahi wajah hai ke is ke liye intehai khaas mahireen darkaar hotay hain. pitro kehte hain ke gistro ke mahireen aksar dayen, baen aur oopar neechay ke ehsas kho detay hain .

tamam jadeed tibbi alaat ki terhan is ka dil o dimagh bhi masnoi zahanat ( ae aayi ) hai jo anton ke andar ki tasaveer aur video banata rehta hai. hamari aanten andar se tube ki terhan lagti hain. is amal mein algorithm tube ke darmiyan mein siyah dairay ko daikhta hai jo zahir hai is aant ki naali ka rasta hai aur is terhan woh robotic andoscope ko agay bherne ka hukum deta hai .

is poooray nizaam ko do khanzeeron aur aik masnoi aant par aazmaaya gaya hai jo ho baho insani aant ki terhan hai. science danon ke mutabiq maqnateesi se agay bherne wali endoscope kam tkif diye aur kisi mareez par baghair be hoshi ke aazmai ja sakti hai .