Home Business aayiyae budget ko samaghnay ki koshish karte hain !

aayiyae budget ko samaghnay ki koshish karte hain !

292
0
aayiyae budget ko samaghnay

aayiyae budget ko samaghnay ki koshish karte hain !

aayiyae budget ko samaghnay ki koshish karte hain !jis terhan aik aam aadmi ya koi thankhowa daar apni gharelo aur doosri mutaliqa zaroriat ke liye mahana amdan aur akhrajaat mein tawazun qaim rakhnay ke liye soch bichaar karta hai ya mahana bunyaad par maali umoor chalanay ke liye koi tareeqa aur apni kamaai aur sَrf ko jan-nay, samajhney ke liye pemana muqarrar karta hai, bilkul isi terhan hakoomaten bhi maliyati nizaam ke tehat salana bunyadon par mukhtalif sooraton mein apni amdan, akhrajaat, khasaray aur maali bachat ke liye budget ka elaan karti hain .

maliyati umoor aur mulki satah par paish kiye jaaney walay budget ko samjhna aur is par behas karna kisi bhi aam aadmi ke liye mushkil hai, lekin yeh hakoomati budget awam ko relief dainay ke ilawa mushkilaat se bhi dochar karsaktha hai .

hamaray malik mein jab bhi kisi hukoomat ki janib se budget paish kya gaya hazbay ikhtilaaf ney aitrazaat aur kari tanqeed ki aur usay awam dushman ya un ki maali mushkilaat mein izafay ka sabab bataya. tehreek insaaf ney –apne dour hukoomat mein dosra salana budget paish kya hai jis par mubahis ka silsila shuru ho gaya hai .

budget se mutaliq yeh bunyadi maloomat aap ki tavajja aur dil chaspi ke liye paish hain .

kisi bhi malik mein maalyaat ka nizaam, is mulk ke sarkari khazanay se mutaliq wizarat dekhatii hai. maalyaat ka yeh nizaam darasal kisi hukoomat ke mehsool ya kharch par nazar rakhtay hue usay sambhaalta hai .

budget ko do hisson main taqseem kya ja sakta hai jis mein aik hakoomati aamdani aur dosra akhrajaat hain .

hamaray mulk mein budget ki wazeer e azam se manzoori lainay ke baad parliment mein paish kya jata hai aur yahi tamam jamhoori hukoomaton ka tor hai .

hakoomati aamdani ki baat ki jaye to yeh mukhtalif tareeqon se sarkari khazanay taq pounchanay wali raqam hai jin mein mukhtalif ashyae zaroorat par tax ka paisa, reyasti wasail aur zakhair ko afraad ya idaray istemaal karna chahain to makhsoos raqam ya mehsool ki mad mein khateer raqam sarkari khazanay mein jama karate hain .

isi terhan ke mukhtalif shobo mein lain deen aur khareed vfrokht bhi sarkari khazanay ko maali faida pohanchati hai .

agar hakoomati akhrajaat ko mukhtasran bayan kya jaye to yeh woh paisa hota hai jo koi bhi hukoomat mukhtalif shobo main aur mukhtalif sarkari mansoobon par lagati hai, isi terhan hukoomat ko sarkari mulazmeen ki tankhwahon, pension waghera par bhi raqam kharch karna padtee hai .