aankhon ke siyah halqay khatam karne ka aasaan totka
aankhon ke neechay siyah halqay chehray ki khoubsurti ko maand kardete hain yahi wajah hai ke siyah halqon ko khatam karne ke liye terhan terhan ke totkay aazamaa_e jatay hain .
morning show good morning Pakistan mein siyah halqay khatam karne ka nihayat aasan aur azmooda tareeqa bataya gaya jisay aap bhi aazma satke hain .
is ke liye do chamach kachay doodh mein aik chamach arq ghulaab milayen aur is mein cotton pad bigho kar fridge mein rakh den .
thanda honay ke baad cotton pad nachorain aur 10 se 15 minute ke liye aankhon par rakhen. yeh totka rozana aazmaane se 10 din mein siyah halqon ka khtama hojaye ga .