Home Lifestyle Dining aalo bukhara jo umdah ghiza aur behtareen dawa bhi hai

aalo bukhara jo umdah ghiza aur behtareen dawa bhi hai

329
0
aalo bukhara jo umdah

aalo bukhara jo umdah ghiza aur behtareen dawa bhi hai

aalo bukhara jo umdah ghiza aur behtareen dawa bhi hai, alo bukhara ya aaloocha aik khush zayega phal hai jo hayateen ( vitamin ) ka khazana hai aur un dino yeh phal bazaar main aam dast yab hai .

is phal ki aik barri khoobi is ka qabz kusha aur zood hazem hona hai aur hakeem usay umdah ghiza aur behtareen dawa batatay hain .

qudrat ne is qarmazi rangat walay phal ko khoob numa banaya hai. yeh dekhnay main aksar aatsheen surkh bhi nazar aata hai. is ka chilka naram aur andar goda hota hai .

yeh phal nashasta daar ajza ke ilawa calcium, potassium, fluorine, phosphorus, amino acid, glucose ki wajah se sahet bakhash aur jism ke liye mufeed hai .\

aalo bukharay mein vitamin ae, bi bhi paye jatay hain, lekin yeh phal vitamin si ka khazana hai jo hamein kayi tibbi masail aur pecheedgiyon se mehfooz rakhnay ke liye zurori hai .

phalon ki taseer aur ifadiyat se mutaliq kutub main likha hai ke aalo bukharay ka mizaaj sard tar hota hai aur yeh maida ki tezabiyat door karne ke liye intahi mufeed phal hai. yeh phal do se teen ghanton mein hazem hokar juzoo badan ban jata hai .

garam mizaaj, jin logon ke kaam ki noiyat aisi hai ke inhain ziyada sochna aur ghhor karna parta hai, un ke liye yeh phal nihayat mufeed hai jab ke bemari ke baad aur haamla aurton ke liye behtareen ghiza hai .

aalo bukhara maida ki sakhti, jalan aur aphara door karta hai, bhook lagaata hai. sadiiyon se is phal ko pyaas aur sufra ka zor tornay ke liye istemaal kya jata raha hai .

usay jigar ki garmi, haath paun ki jalan khatam karne ke sath sath tabeb aur hakeem chirchira pan door karne main bhi madadgaar batatay hain .

aalo bukhara pak o hind main aam hai aur usay khushk karkay bhi khaya jata hai. khushk aalo bukharay ko bar e sagheer main mukhtalif pakwaan main bhi istemaal kya jata hai .