50 sal sy kam umer afrad mai bari anton k cancer mai tashweesh nak hadd tak azafa
50 sal sy kam umer afrad mai bari anton k cancer mai tashweesh nak hadd tak azafa ,haal hi mein shaya honay walay aik tehqeeqi maqalay mein inkishaaf kya gaya hai ke America mein 50 saal taq ki Umar ke afraad mein barri anton aur rectum ke cancer mein tashweesh-naak had taq izafah hwa hai .
tehqeeqi idaray american cancer society ke maqalay mein inkishaaf kya gaya hai ke 50 saal se kam Umar afraad mein colon yani barri aant aur rectum ke cancer mein hoshrba izafah hwa hai taham 65 saal se zayed Umar ke afraad mein is cancer ki tadaad mein numaya kami dekhnay mein aayi hai .
mohqiqeen kam Umri mein anton aur rectum ke cancer mein izafay ki wajah maloom karne ke liye mazeed reserch mein masroof hain lekin yeh bhi dekhnay mein aaya hai ke jin afraad mein anton aur rectum ke cancer mein izafah hwa un mein aik qader mushtarik hai yani motapa .
tahaqeeq ke douran mohqiqeen ko yeh bhi maloom hwa ke America mein 2017 mein anton aur rectum ke cancer se halaak honay walon ki tadaad 52 hazaar ga thi aur un mein ziyada tar ki umrein 70 saal se zayed thi taham jawan aur udhair Umar afraad is se mehfooz they .
Amrici mohqiqeen ka kehna hai ke heran kin tor par aur 2017 ke bar aks 50 saal se zayed Umar walay afraad is moozi cancer se mehfooz rahay hain. mehez teen saal mein itni barri tabdeeli pareshan kin hai .
mahireen is tehqeeq ko cancer jaisay moozi marz ke khilaaf reserch ke liye ahem mawaad tasawwur karte hue pur umeed hain ke tibbi science bohat jald cancer se mukammal tor par nabard aazma honay ke qabil hojaye gi .