4 peron per chalnay walay 10 lakh khordbeeni robot ki fouj
4 peron per chalnay walay 10 lakh khordbeeni robot ki fouj, agar aap khurd beeni duniya mein tahaqeeq karna chahtay hain to is ke liye dheron ke hisaab se khurd beeni robot tayyar kiye gaye hain jin ka amli muzahira neechay ki video mein bhi dekha ja sakta hai .
agarchay is se qabal chalne walay khurd beeni robot banaye gaye hain lekin woh –apne bil botay par agay bherne ke qabil nah they. taham ab university of pencelwania ke mark Maskan ny shamsi tawanai se chalne walay lakhoon khurd beeni robots ki aik khaip tayyar ki hai .
is ke liye unhon ne aik bilkul naye terhan ke actuaiter banaye hain jo platinum dhaat ki intehai bareek parat se tayyar kiye gay hain. is se qabal micrometer pemanay ke actuaiter bananay mein kamyabi nahi mil sakti thi. yeh bareek actuaiter murrtay hain to saada robot agay barhta hai .
chokor robot ki pusht par lagey shamsi sale usay tawanai pohanchate hain. robot laser shua ke rdِ amal mein dheeray dheeray agay barhta hai jisay video mein bhi dekha ja sakta hai. mark kehte hain ke robot ko aap jahan chahain ghuma phira satke hain. un robot ko ain circuit board designing tecnology ke tehat banaya gaya hai aur pehlay marhalay mein das laakh robot tayyar kiye gay hain .
un mein se har robot aik mili meter ke dasvin hissay ke barabar hai aur usay dekhnay ke liye khurdbeen ka sahara lena parta hai. is waqt yeh robot mehez aik hi simt mein agay barhatay hain lekin mark ke bakol aglay marhalay mein unhi robot par kayi terhan ke sensor lagaye jayen ge jo mukhtalif kaam kar saken ge. is ke baad inhen programming ke zariye khaas kamon ke liye bhi control kya jaye ga .