Home Lifestyle Culture 15 august se taleemi adaray kholnay ka mutalba

15 august se taleemi adaray kholnay ka mutalba

296
0
15 august se taleemi

15 august se taleemi adaray kholnay ka mutalba

15 august se taleemi adaray kholnay ka mutalba, private schools fadration aur chairman all Sindh private schools and colleges association ney hukoomat se fori school kholnay ka mutalba kardiya aur kaha karorron bachon ka taleemi amal ruka hwa hai .

tafseelaat ke mutabiq private schools fadration ney school kholnay se mutaliq aalamia jari kardiya hai, jis mein kaha gaya hai ke hukoomat 15 august se tamam school khol day, hukoomat ney school nah khole to khud school khol den ge .

ailamiye mein kaha gaya ke school kholnay walay idaron ko qanooni tahaffuz diya jaye warna long March kiya jaye ga, private school federation press conference se ehtijaj record kara rahi hai .

kashif Mirza ka kehna tha ke tareekh mein aaj tak koi hukoomat taleem ke liye sanjeeda nahi hui, corona k naam per taleem ke sath jo kia gya wo intahi afsoosnaak hai, school kholnay ke liye SOPs diay magar hukoomat sanjeeda nahi, 5 crore bachay school jaaane se mahroom ho chukay hain .

press conference mein unhon ne kaha hukoomat ki taraf se 100 kutub ki pabandi per sath hain, kitaaben tlba ke mustaqbil ke liye khatarnaak hain .

kashif Mirza ne mutalba kya ke Punjab ke wazeer e taleem fori mustafi hon, madaris bachon se amthanat le satke hain to hukoomat kyun nahi , hukoomat ne arbon ki fees le ker imtahanat nahi liye .

doosri janib chairman all Sindh private schools and kaljz association haider ali ne bhi taleemi idaray fori kholnay ka mutalba karte hue kaha hai ke ke taleemi idaron ki musalsal bandish Manzoor nahi, chay mah se karorron bachon ka taleemi amal ruka hwa hai, school band honay se lakhoon bachay child labour ka shikaar hogaye hain .

unhon ne kaha ke pehlay hi do crore se ziyada bachay schools se bahar hain, child labour bachon ka school mein wapas aana mushkil hai, madaris aur univercites ke imtehanaat is ke sath khole jasakte hain, niji schools ki maali mushkilaat ka ehsas hukoomat ki zimma daari hai .

haider ali ka kehna tha ke wazeer e azam Pakistan , aur national coordinanse council fori tor par taleemi idaray kholnay ka elaan karen aur taleemi idaron se mutaliq wazeh aur dotok policy ka elaan kya jaye .